
Na Chemistry hoti na main Student hota
Na ye Lab hoti Na ye Accident hota
Abhi Practical me aayi Nazar ek Ladki
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Sundar thi Naak Us ki Test Tube Jaisi
Baaton me Uski Glucose ki Mithas thi
Saanso mein Ester ki Khusboo bhi sath thi
Aankhon se jhalakta tha kuch is Tarah ka Pyar
Bin piye hi ho Jata tha Alcohol ka Khumar
Benzene sa hota tha Uski Presence ka Ehsaas
Andhere mein Hota tha Radium ka Aabhas
Andhere mein Hota tha Radium ka Aabhas
Nazrain mileen, Reaction hua
Kuch is tarah Love ka Production hua
Lagne lage uske Ghar ke Chakkar aise
Nucleus ke charon taraf Electron hon jaise
Us din hamare test ka Confirmation hua
Jab uske Daddy se hamara Introduction hua
Sun kar hamari baat wo aise Uchal pade
Ignesiun Tube me jaise Sodium Bharak uthe
Wo boli, Hosh me aao, Pahchano apni Auqat
Iron mil nahi sakta kabhi Gold ke saath
Iron mil nahi sakta kabhi Gold ke saath
Ye sun kar Tuta hamara Armanon Bhara Beaker
Aur hum Chup rahe Benzaldehyde ka Karva Ghoont pee kar
Ab uski Yaadon ke siwa hamara Kam chalta na tha
Aur Lab mein hamare Dil ke siwa kuch Jalta na tha
Zindgi ho gayi Unsaturated Hydrocarbon ki Tarah
Aur hum Phirte hain Awara Hydrogen ki Tarah
No comments:
Post a Comment